Tuesday, 4 February 2014

Drunk Jokes for Whatsapp 117

Agar main dur ho jaon To palkon ko jhapak daina Agar ansu koi giraay Samajh jana keh wo hoon main Hathaili saamnay rakhna Keh sab aansuu giraay us main Jo ruk jaye ga hounto per Samajh jana keh wo hoon main Kabhi jo chand ko daikho To tum yun muskura denaKeh phirr baadal bhi aajayee Samajh jana keh woh hoon main Jo chal jayee hawa thandi To ankhain band ker laina Jo jhonka taiz ho ssab say Samajh jana keh wo hoon main



Suno jana! agar tum ham se poocho to hamara mashghala kia hai? to ham tum ko bataein ge k pehron sochte rehna agar tum ham se poocho to k ham kia sochte hain? to tum ko sochte hain ham aur phir jab tumhare chehre par haya k rang cha jayein geto ham ye jaan jaaein ge tumhain ham se mohabbat hai



Tumharay naam likhta hoon….!! Tumharay naam likhta hoon…!! Tumhare naam likhta hun, Muhabbat aur khusboo ke, Wafaon ke massarat ke, Dhadakte dil ke wo nagme, Jo insano ki dharti par, Har eek mausam me gaye hain ! Tumhare naam likhta hun, Akhuwat aur ulfat ke,Sadakat aur azmat ke, Wo phoolon jaise afsane, Jo iss duniyan me logon ne, Sune hain aur sunaye hain !



apni dhun main rahta hun main bhi tere jaisa hun o pichli rut k sathi ab k baras main tanha hun teri gali main sara din dukh k kankar chunta hun mujh se ankh milaye kaun main tera aina hun mera diya jalaye kaun main tera khali kamra huntu jiwan ki bhari gali main jangal ka rasta hun apni lahar hai apna rog dariya hun aur pyasa hun ati rut mujhe royegi jati rut ka jhonka hun



Chehre pe khushi chah jati hia ankhon mein suroor aajata hai Jab tum mughe apna kehte ho apne app pe guroor aajata hai Tum husn ki khud ik dunya,shayadyeh tumhain maloom nahi Mehfil mein tumhare aane se har chiz pe noor aajata hai Hum pass se tum ko kiya dekhen,jab tum mukabil hote ho Betaab nighaoon keaage parda sa zaroor aajata hai Jab tumse mohabbat ki humne tab jake kahin yeh raaz khula Marne ka saliqa aate hi jeene ka shaur aajata hai



Previous






from whatsappjokes.im http://ift.tt/1cRqefI

via IFTTT

No comments:

Post a Comment