Waqt ke mod pe aisa waqt aaya hai, Zakhm dil ka zuban par aaya hai, Na rote the hum kanton ki chubhan se, Par aaj na jane kyu phulo ki khusbu se rona aaya hai.
Mujhe dard-e-ishq ka mazaa maloom hai, Dard-e-dil ki inteha maloom hai, Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena, Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai.
Tujhy kia malum ye kia cheez hai Jis ki nahi us sey pocho maa kia cheez hai Tujhy to aurha deti hai raat ko kambal Jis ki nahi us sey pocho sardi kia cheez hai Us ka rutba hisab’on mein nahi ata Ye to khuda bhi nahi janta maa kia cheez hai
Wo mujhy nad’an aur khod ko aqal-mand samjhta hai Ajeeb shaks hai khod ko khuda samjhta hai Mujh ko fareb dey ker boht khosh hai Wo khod ko bara mahir samjhta hai Mein to is ki badnami’yon sey chup hun Aur wo khod ko bara taqat-wer samjhta hai Mera qurban hona bhi kuch kam na aya ‘Gul’ Wo to mujh ko both haqeer samjhta hai
Haqeeqat agar afsana ban jaye tou kia kejiye Agar apna koi begana ban jaye to kia kejiye Jis ko sadiyon pooja jaye Agar wohi chorr jaye to kia kejiye Band aankh’on se jis per aitebar kiya jaye Agar wohi dhoka de to kia kejiye hamesha se muhabbatain nichawar karny wala Agar nafrat’ain de tou kia kejiye Tum khud hi batao ‘Gul’ moaziz zamanay mein Kon kis pe aitebar kia kejiye.
Previous
from whatsappjokes.im http://whatsappjokes.im/bar-jokes-for-whatsapp-140/?utm_source=rss&utm_medium=rss&utm_campaign=bar-jokes-for-whatsapp-140
via IFTTT
No comments:
Post a Comment